Saturday 22 December 2018

Pata Nahi

Doobte hain abb aankhon mein, jaise kabhi sharab ki latt mein doobte the,

Khoy huve hain rangeen yaadon mein aapka gulistan samajke...

Pehele pyaar ki kami nahi thi, aur sharab ki jaga nahi... 

Abb pyaar mumkin nahi, aur sharab...sharab khatam nahi hoti....

Pyaar jo samajha nahi woh khush kismat hain. 

Samaj gaye toh jaal hai, 

Aadat nahi pyaas hai, zarrurat nahi - rakht hai...Jaal hai...jaal hai

Kitna waqt lagega hum jaante nahi…

Kitne saal guzargaye woh dekhte nahi, 

Yaad humko hai unko nahi, 

Intezaar kare ya na karein yeh pata nahi.













*please pardon my mistakes, no body is perfect*

Monday 17 December 2018

Kaise kahun ki kitna chahti hun tumhe

Kaise kahun ki kitna chahti hun tumhe…
Pyaar jitna shayad nahi,
Ishq jitna gehra nahi,
Mohobbat jitna pagal nahi,
Lekin Pasand karti hun tumhe…

Kaise kahun ki tum itne zaroori nahi,
Magar choti si baat par yaad aate ho,
Kuch sunti hun toh tumhe bhi sunana chahti hun,
Kuch dekhti hun toh dobaara tumhare sath dekhna chahti hun,
Kuch karti hun toh sochti hun tumhe kaisa lagega,
Tasveer leker tumhe Dena chahti hun…

Kaise kahun ki tumhe Roz Milne ki zidd nahi hai…
Tumhe yaad karna, tumhari kami mehsoos karna bhi achha lagtaa hai,
Tumhare sath baatein, kahaniyan, dard aur khushiya baatne ke intezaar mein mazaa aata hai…

Kaise kahun ki tumhara dhyaan kharidna chahti hun…
Taufon se nahi, paison se nahi, nashe se nahi, koi aur banke nahi,
Par tumhare sath waqt bitakar,
Tumhe tum rehne Dena,
Tumse Pyaar ki ummeed na rakh kar….
Tumhe mere sath zabareasti nah hone ke liye kharidna chahti hun…

Kaise kahun ki kitna chahti hun tumhe...

- Tripti K J